Friday, February 19, 2010

Aatishi aahoon se meri jal utha darya-e-Sindh
Ishq ke sehra main aa ker kho gaya darya-e-Sindh

Wadi-e-Tibbet ke Mathe se Fawware ke tarah
Ay Khuda behta rahe yun hi sada darya-e-Sindh

In paharoon se uter ker Wadi-e-Mehran se
Ho ke ik aashiq dewaana mil gaya darya-e-Sindh

Seedha Seedha aa raha tha per nigar-e-Sindh ki
Zulf-e-Paichan dekh ker bal kha gaya Darya-e-Sindh

Sabza-e-khat sa numayaan shehr-e-sukker ho gaya
Aur labe Mehran ban ker khil utha Darya-e-Sindh

Gulshan-e-multan tujh ko Fakhr he is per baja
Chand miloon tak raha mehmaan tera darya-e-Sindh

Jur gaye Ravi, Chanab-o-Sutlaj-o-Jehlum Biyaas
Soye Manzil in ko phir le ker chala Darya-e-Sindh

Raat bher sunte rahe mojoon ki ham sargooshiyaan
Aaik anjani katha kehta raha darya-e-Sindh

Qudrat-e-haq ki alamat he arab sagar agar
He koi barsoon purana dewata darye-e-Sindh

By Khalid Jamil Rawat

No comments:

Post a Comment